Hai shaak aaj gir gayi
hai shaakh aaj gir gayi to kya, kabhi na kabhi to fir se uthegi, fir se din aayenge mere, fir se pagdandiyon se utarkar achi sadak par aaunga..... aaj agar chal nahi pata to kya, kabhi na kabhi to fur se uthunga, aur majboot hokar, mai bhi daud lagaunga, duniya ki is tej chaal me, mai bhi kabhi aage nikal jaunga.... hai aaj har koi mujhse door to kya, kabhi na kabhi mai bhi to wajood apna banaunga, jo aaj bhagte hai door mujhse, unse bhi milunga, unhe kuch aisa kark dikhaunga, k vo aayenge mere piche-piche, aur mai unhe bita jamana yaad dilaunga..... hu aaj mai farsh par gira hua to kya, ye to waqt ki maar hai, aaj bura hai mera, tum sabka bulandiyon ko choo raha, kabhi to samay ka chakra ghoomega, aur mai bhi baadshaah ban jaunga..... hai berang meri duniya aaj to kya, kabhi na kabhi to mai bhi rang me aaunga, jo haasil na kar saka koi, us muqaam ko mai paunga, bahut door nikal jaunga, vapas mud kar na aaunga......