Posts

Showing posts from January, 2014

Kabhi tum paas na aaye

baarish me padi boondo ki tarah, meri jindagi me tum aaye, jaise pal bhar k liye jameen gili hui, aur fir se jise banjar, kiran sooraj ki pahli bana jaaye, ae mere hamdam, kabhi tum paas na aaye..... k patjhad me gire sookhe patte, ab tak to naye aaye bhi na the, koi kali pedon par, ab tak to khili bhi na thi, k chidiya koi aaye, aur use tod kar le jaaye, ae mere hamdam suno, kyun mere paas na aaye...... had paar hui intjaar ki jab, tabhi kahin se chota sa, baadal najar me aa jaye, fir se aashayen, man me nayi umange basa jaaye, aur bin barse hi pal bhar me, fir se gaayab ho jaaye, ae pyare se mere mahboob suno, kyun paas kabhi na tum aaye......

Dil na gairon se lagana

hai ek hi gujarish tumse, k dil ab gairon se na lagana, mai ji nahi paunga, teri mohabbat k bina, ab fir se kabhi meri mohabbat ko thukra k na jana, k dil na ab gairon se tum lagana..... bas akhiri saans baki rahe jab tak, k tu mera rahe tab tak, har dafa pyar se meri taraf dekhe, na apni najron me koi doosri soorat ko tum basana, hai ek hi gujarish tumse, k dil na ab gairon se tum lagana..... bas chahta hu k tere bahon me rah jaun, pyar karu tujhe, aur teri har saans me mahak apni hi chod jaun, bahut takleeef-ae- majnjar sanam maine bhi dekhe hai, ab na fir se mujhe tum gam-ae-mohabbat se sajaana, hai ek hi gujarish tumse, k dil na ab gairon se tum lagana.......

Tune hi kaha tha ek din

kyun jinda hai ab bhi, mujhme tera aks, kyun ab bhi mujhe, yaaden teri sone nahi deti, tune hi kaha tha ek din, k teri mohabbat mujhe jine nahi deti..... kyun ab bhi baaki hai, mujhme teri yaad ka najrana, kyun ab bhi mujhe, deewangi teri chain se rahne nahi deti, tune hi kaha tha ek din, k teri yaad mujhe jine nahi deti.... kyun ab bhi rahta hai, mujhko tasavvur tujhse, kyun ab bhi mujhe, daur-ae-gam se fursat nahi milti, tune hi kaha tha ek din, k teri deewangi mujhe jine nahi deti.... kyun ab bhi mujhe intjaar, tere siva sirf maut ka hai, kyun baki nahi mujhme, aur koi aur chahaton ka silsila hai, tune hi kaha tha ek din, k teri wafa-ae-najar mujhe jine nahi deti...

Pyar agar kar liya hota

vo aa to gaye dil me mere, par kabhi bahar ka rasta mai unhe dikha nahi paaya, mere dil me aaye the jaise, vaise hi meri jindagi me aaate, to ko barbadi ki taraf badhaya nahi hota..... k ab to dagmaga kar girne ka waqt, bahut najdeek aa chuka hai, ab mujhe pyar mat karna, are haann... pyar to tum karoge bhi nahi, agar kar liya hota to shayad, khud ko kabhi, bhikhari tere pyar ka banaya nahi hota....

Tujhe fir se begana bana diya

socha to tha maine , k tujhe kho doonga, is duniya ki bheed me, tu kisi aur ka ho jaayega, aur mai dekhta hi rah jaunga, kyunki mai akela deewana tha, asar mere deewane pan ka tujhpe hua na tha...... socha tha maine, k tu ho jaayega kisi aur ka, aur mai jo kabhi teri yaadon me na aaya tha, hardam k liye teri jindagi se door chala jaunga, aur hua bhi vahi, k tu ho gaya kisi aur ka, aur mai ateet ka ek panna samajh liya gaya...... socha tha maine, k kya mahsoos hoga, jab dekhunga tujhe kisi aur ki dulhan bante, vo manjar dekhkar bhi, kya mai aur ji looonga? par hua vahi, mai jiya bhi, aur raha yahin, bas yaad tujhe karte - karte, khud ko tera samajhne laga......... socha tha maine, k ab to tu na aayega, par afsos kahun ya kahun kismat ki bukandiyan, k tu aaya, tu kisi aur ka hokar bhi aaya, mera dost bankar, mera apna bankar , kyunki kismat ko kuch aur hi manjoor tha, aur fir se mai bhoolkar sab kuch bas tujhe apna banane k sapno me kho gaya...... socha ...

Jab unhe kisi aur ka hote dekha

charag-e-dil jalakar mai, dhoondhne nikla tha mohabbat ko, mohbbat haanth na aayi, basharte dil jalta raha unhe kisi aur ki baahon me dekhakar..... deewar-e-hayat se maine, unhe jab jhaank kar dekha, unhe koi hosh na tha khud ka, bas vo madhosh the shayad kisi aur ki aagosh me.... meri kismat ne mujhko roka, unki parchaiyon ko choone se, mai khud pe fakra karta tha, sajan mera to mera hai, magar sab aarjoo tooti, lagi meri jindagi jhoothi, jis pal unhe maine, kisi gair me khote dekha..... daag unki aabroo me na lag jaaye, is liye maine khud ko piche khincha, magar dard-e-rooh mera unko, abhi tak samajh nahi aaya, vo to ab bhi kahte hai, ye rishta purana hai, mai tumko pyar karta hu, bas tere paas aana hai....... lagi hoti agar thokar, mujhe jaalim jamane se, mai hans kar sab sah leta, bayaan-e-dard na karta, kahan jaun mai ab rokar k, mujhe to ishq ne maara hai, bewafa yaar nahi mera, fir bhi wafa-e-mahboob ne maara, sabhi mere ghav khul gaye fir, unhe ...

Cigarette

Image
aao mai dikhaun ek ajeeb duniya, jisme do tarah k log rahte hai, ek dhuaan aur doosre raakh, dono ek hi duniya k hote hai, aur us duniya ko ham ciggerate kahte hai, chahe jitna b nuksaan kyu na kare hamara, fir bhi ham shauk se pite hai........ ek hi duniya k do wasinde hote hai, fir bhi kitna alag andaaj inka hota hai, ek dhuan, jo usi duniya se nikalta hai, aur hamesha upar badhta hai, aur raakh, jo chahe bhi agar upar chadhna, to ham use thokar maarkar, niche gira dete hai, chahe khud ko hi jala kyun na de, fir bhi ham shuaj se pite hai...... na jaane kyun ye milkar nahi rahte, ek aasmaan pasand karta hai, to doosra paiton me rahta hai, kabhi ashtray me, kabhi khali packet me, to kabhi ham khud hi ise farsh par bikher dete hai, chahe laakh maut hame de de, fir bhi ham shauk se pite hai.... kabhi to gaur karna jara, isk andaaj-e-mohabbat par, dono bahut chahte hai, fir bhi kabhi ek ho nahi paate, ek hawa me mil jata hai, to doosre ko ham mitti me milaka...

Mujhe kaise tumse pyar hua

mujhe yaad abhi bhi hai shayad, mujhe kaise tumse pyar hua, tumne kitni mujhse nafrat ki, aur kaise mujhe inkaar kiya, mai kitna paagal tha tumhare liye, aur kitna tumharaa intjaar kiya, tumhe ek najar dekh pane ki khatir, na jane kitni baar dhoop me khade khade intjaar kiya...... mujhe yaad bahut vo din aate hai, jab tum mere saamne aati thi, mai dekh k tumko dar jata tha, aur kisi kone me chup jata tha, jab aage nikal tum jati thi, mai piche se dekha karta tha, kyunki mai tumse darta tha, tumhe chup-chup kar dekhne ki khatir, apni nose b tudwa li, na jaaane kitni baar deewaron se takraya mai..... mujhe pyar abhi bhi un classes se hai, jahan tum baitha karti thi, mai chup k khidki se tumko dekhta tha, sath hi sath mai darta tha, aur tumhare jate hi, mai  tumhari chair pe baith jata tha, har koi mujhe samjhata tha, mai pagal tha, tera premi tha, aur har us chair pe tere naam ka pahla akshar "p"  likh kar aa jata tha...... kaise bhooloo saari baat...

Dil unk siva kisi aur se lagaya na gaya

unka naam likha jo dil pe, mitaya na gaya, rooh me unka nasha jo chaaya, vo kisi aur se utara na gaya, hasti mit gayi meri, Unhe apna banane me, dil unk siva kisi aur se lagaya na gaya...... mai ye nahi kahta, k mohabbat unhe mujhse nahi, mai agar rota hu unki yaad me, to mujhe yaad kar k, unki aankhon me aansoo nahi, par tadapta hua dil mera, mujhse samhala na gaya, dil unk siva kisi aur se lagaya na gaya..... agar aarjo thi meri unhe apna banane ki, to unhe apna banakar sine se lagaya na gaya, ab bhi koi gair jhankta hai unki aankhon se, jab bhi mai dekhta hu unko, aur unse mere liye ek gair ko thukraya na gaya, dil unk siva kisi aur se lagaya na gaya.... mai ye nahi kahta, k vo mujhe chahte nahi hai, ye b nahi kah sakta, mere aankhon me aaye aansoo vo ponchte nahi hai, par wajah ko mere aansuon ki unse mitaya na gaya, Dil unk siva kisi aur se lagaya na gaya..... mai tadapta raha, vo bhi tadapte rhe mjhe sine se lagane k liye, par majboori kuj aisi thi, ...

Bahut khoobsoorat hai vo

haan vo bahut khoobsoorat hai, shayad maine jindagi bhar na dekhi ho, vo aisi hi ek moorat hai, log dekhte hai usme na jane kya, mai janta hu  k vo pari hai khwabon ki, na jaanu mai k use duniya kya samajhti hai, par sach hai ye k mere liye, vo meri har jaroorat hai........ ho sakte hai usk kai aur chahne vale, vo hai hi itni khoobsoorat, par kya chahega use koi vaise, jaise mai chahta hu, bhool jaye, agar vo sochta hai k mai b usk husn ka deewana hu, khuda kasam , husn to tab dekha maine uska, jabki usk naam maine apni har saans kar di thi,, na jaanu mai k vo kya sochta hai, par sach hai ye k mere liye, vo meri har jaroorat hai....... ab aur mai armaan koi dil me sajata nahi, kyuki vo bhi chahta hai mujhko, haan beshak ham qareeb na sahi, par vo bhi utna hi maanta hai mujhko, usk noor ko mai bahut shokh samajhta hu, uski har cheej ko mai is duniya se masrookh rakhta hu, banane vale ko tah-ae- dil se shukriya hai mera, k itna khoobsoorat mera mahboob bana...

Tujhe mai pyar kar jaun

Image
tujhe mai pyar kar jaun, bin tere mai mar jaun, agar jamana mujhko kahe paagal, to teri khushiyin k liye ae meri jaan, khud ko pagal mai saabit kar jaun...... tujhe mai pyar kar jaun, teri Saanson me bas jaun, agar ye duniya kahe mujhe anjana, tujhe apna banak mai, saari duniya ko juda mai khud se kar jaun..... tujhe mai pyar kar jaun, teri khushboo mai khud me basa jaun, agar ye duniya kahe mujhe deewana, to tere aagosh me aakar mai, bas khuda se dua mai kar jaun, bana de tujhko mera, ya fir, yun hi tere aagosh me umra bhar k liye so jaun....

Kuch to naam hoga jaroor us rishte ka

Image
kuch to naam hoga jaroor us rishte ka, jo tere mere beech hai, jisne baandh rakha hai ham dono ko, aur jo lagta bahut ajeej hai..... kuch to naam hoga jaroor us rishte ka, jisne hame ek kr diya, jisne door hokar bhi hame bahut kareeb kar diya, na chahkar bhi tumko mere, aur mjhe tumhara kar diya.... kuch to naam hoga jroor us rishte ka, jisne tere gam se mujhko rula diya, mere dard se teri aankhon me paani la diya, aur khushi me ek doosre ko hansna sikha diya, jaane - anjaane kitne hi khoobsoorat lamhon se hamari jindagi ko saja diya...... kuch to naam hoga jaroor us riste ka, jisne tujhe begana hote hue bhi mera bana diya, meri jindagi me sirf tera hi sapna saja diya, chahu bhi agar mai koi aur rasta jana, to haanth pakad k jisne mujhe teri or rukhsat kara diya..... kuch to naam hoga jaroor us rishte ka, jisne door hokar bhi hame ek atoot bandhan mebaandh diya, duniya ko begana bana diya, sare jahan ko bhula diya, bas tujhe mera aur mujhe tera har jindagi k liye...

If i say

Image
if i say 'i love you', mean it, because i really do, n understand, i am incomplete without you. if I say, ' i miss you', trust me, because i really do, n think, can a day, i can live without you ?... if i say 'I am yours', feel it, because you are the one for me, n believe metht, i can never think about any other one.... if i say 'You are my angel', be happy, because for me, you ae the most beautiful creation, and you are the only girl i wish to see again n again... if i say, ' you are my life' realise it, n believe it, because without you i can not live.... if i say ' i wanna hug you' just feel it, n please give me a hug, because i am sad n i need it only from you...

Tera sath agar mil jaye to baat kuch aur ho

Image
yun to bachpan me kai khel maine khele hai akele, din jindagi k kayi gujare hai akele, jina to chod nahi diya maine tanha rahkar bhi par tera sath mil jaye agar to baat kuch aur ho...... yun to kai dost banaye the maine bhi kabhi, kai jindagi mujhse bhi jud gayi thi kabhi, ek doosre se juda hokar bhi mai jiya, par tera sath mil jaye agar to baat kuch aur ho.... yun to mai akela hi chalta raha raah jindagi ki ab tak, kai baar to mai ladkhadaya bhi akela, to kai baar maine khud ko bhi samhala akele, par tera sath mil jaaye agar to baat kuch aur ho..... yun to jindagi ne mujhko bhi dhokha diya, kai baar mere apno ne mujhe samhala, to kai baar mujhe chid bhi diya, jindagi to mai fir bhi jiya, par tera sath mil jaaye agar to baat kuch aur ho.... yun to tum meri jindagi me ab tak na aaye, beshak mai chahta tumhe bahut jyada hu, tumhe paane ki chah me mai tadapta bhi bahut jyada hu, par tera sath mil jaaye agar to baat kuch aur ho... yun to mai har gam sahta hu akele, ka...