Jab unhe kisi aur ka hote dekha

charag-e-dil jalakar mai,
dhoondhne nikla tha mohabbat ko,
mohbbat haanth na aayi,
basharte dil jalta raha unhe kisi aur ki baahon me dekhakar.....

deewar-e-hayat se maine,
unhe jab jhaank kar dekha,
unhe koi hosh na tha khud ka,
bas vo madhosh the shayad kisi aur ki aagosh me....

meri kismat ne mujhko roka,
unki parchaiyon ko choone se,
mai khud pe fakra karta tha,
sajan mera to mera hai,
magar sab aarjoo tooti,
lagi meri jindagi jhoothi,
jis pal unhe maine,
kisi gair me khote dekha.....

daag unki aabroo me na lag jaaye,
is liye maine khud ko piche khincha,
magar dard-e-rooh mera unko,
abhi tak samajh nahi aaya,
vo to ab bhi kahte hai,
ye rishta purana hai,
mai tumko pyar karta hu,
bas tere paas aana hai.......

lagi hoti agar thokar,
mujhe jaalim jamane se,
mai hans kar sab sah leta,
bayaan-e-dard na karta,
kahan jaun mai ab rokar k,
mujhe to ishq ne maara hai,
bewafa yaar nahi mera,
fir bhi wafa-e-mahboob ne maara,
sabhi mere ghav khul gaye fir,
unhe jab doli me kisi aur ki baithte dekha......

Comments

Popular posts from this blog

आवारगी

देवों के देव महादेव

ओ कैलाशी