Posts

Kabhi tum paas na aaye

baarish me padi boondo ki tarah, meri jindagi me tum aaye, jaise pal bhar k liye jameen gili hui, aur fir se jise banjar, kiran sooraj ki pahli bana jaaye, ae mere hamdam, kabhi tum paas na aaye..... k patjhad me gire sookhe patte, ab tak to naye aaye bhi na the, koi kali pedon par, ab tak to khili bhi na thi, k chidiya koi aaye, aur use tod kar le jaaye, ae mere hamdam suno, kyun mere paas na aaye...... had paar hui intjaar ki jab, tabhi kahin se chota sa, baadal najar me aa jaye, fir se aashayen, man me nayi umange basa jaaye, aur bin barse hi pal bhar me, fir se gaayab ho jaaye, ae pyare se mere mahboob suno, kyun paas kabhi na tum aaye......

Dil na gairon se lagana

hai ek hi gujarish tumse, k dil ab gairon se na lagana, mai ji nahi paunga, teri mohabbat k bina, ab fir se kabhi meri mohabbat ko thukra k na jana, k dil na ab gairon se tum lagana..... bas akhiri saans baki rahe jab tak, k tu mera rahe tab tak, har dafa pyar se meri taraf dekhe, na apni najron me koi doosri soorat ko tum basana, hai ek hi gujarish tumse, k dil na ab gairon se tum lagana..... bas chahta hu k tere bahon me rah jaun, pyar karu tujhe, aur teri har saans me mahak apni hi chod jaun, bahut takleeef-ae- majnjar sanam maine bhi dekhe hai, ab na fir se mujhe tum gam-ae-mohabbat se sajaana, hai ek hi gujarish tumse, k dil na ab gairon se tum lagana.......

Tune hi kaha tha ek din

kyun jinda hai ab bhi, mujhme tera aks, kyun ab bhi mujhe, yaaden teri sone nahi deti, tune hi kaha tha ek din, k teri mohabbat mujhe jine nahi deti..... kyun ab bhi baaki hai, mujhme teri yaad ka najrana, kyun ab bhi mujhe, deewangi teri chain se rahne nahi deti, tune hi kaha tha ek din, k teri yaad mujhe jine nahi deti.... kyun ab bhi rahta hai, mujhko tasavvur tujhse, kyun ab bhi mujhe, daur-ae-gam se fursat nahi milti, tune hi kaha tha ek din, k teri deewangi mujhe jine nahi deti.... kyun ab bhi mujhe intjaar, tere siva sirf maut ka hai, kyun baki nahi mujhme, aur koi aur chahaton ka silsila hai, tune hi kaha tha ek din, k teri wafa-ae-najar mujhe jine nahi deti...

Pyar agar kar liya hota

vo aa to gaye dil me mere, par kabhi bahar ka rasta mai unhe dikha nahi paaya, mere dil me aaye the jaise, vaise hi meri jindagi me aaate, to ko barbadi ki taraf badhaya nahi hota..... k ab to dagmaga kar girne ka waqt, bahut najdeek aa chuka hai, ab mujhe pyar mat karna, are haann... pyar to tum karoge bhi nahi, agar kar liya hota to shayad, khud ko kabhi, bhikhari tere pyar ka banaya nahi hota....

Tujhe fir se begana bana diya

socha to tha maine , k tujhe kho doonga, is duniya ki bheed me, tu kisi aur ka ho jaayega, aur mai dekhta hi rah jaunga, kyunki mai akela deewana tha, asar mere deewane pan ka tujhpe hua na tha...... socha tha maine, k tu ho jaayega kisi aur ka, aur mai jo kabhi teri yaadon me na aaya tha, hardam k liye teri jindagi se door chala jaunga, aur hua bhi vahi, k tu ho gaya kisi aur ka, aur mai ateet ka ek panna samajh liya gaya...... socha tha maine, k kya mahsoos hoga, jab dekhunga tujhe kisi aur ki dulhan bante, vo manjar dekhkar bhi, kya mai aur ji looonga? par hua vahi, mai jiya bhi, aur raha yahin, bas yaad tujhe karte - karte, khud ko tera samajhne laga......... socha tha maine, k ab to tu na aayega, par afsos kahun ya kahun kismat ki bukandiyan, k tu aaya, tu kisi aur ka hokar bhi aaya, mera dost bankar, mera apna bankar , kyunki kismat ko kuch aur hi manjoor tha, aur fir se mai bhoolkar sab kuch bas tujhe apna banane k sapno me kho gaya...... socha ...

Jab unhe kisi aur ka hote dekha

charag-e-dil jalakar mai, dhoondhne nikla tha mohabbat ko, mohbbat haanth na aayi, basharte dil jalta raha unhe kisi aur ki baahon me dekhakar..... deewar-e-hayat se maine, unhe jab jhaank kar dekha, unhe koi hosh na tha khud ka, bas vo madhosh the shayad kisi aur ki aagosh me.... meri kismat ne mujhko roka, unki parchaiyon ko choone se, mai khud pe fakra karta tha, sajan mera to mera hai, magar sab aarjoo tooti, lagi meri jindagi jhoothi, jis pal unhe maine, kisi gair me khote dekha..... daag unki aabroo me na lag jaaye, is liye maine khud ko piche khincha, magar dard-e-rooh mera unko, abhi tak samajh nahi aaya, vo to ab bhi kahte hai, ye rishta purana hai, mai tumko pyar karta hu, bas tere paas aana hai....... lagi hoti agar thokar, mujhe jaalim jamane se, mai hans kar sab sah leta, bayaan-e-dard na karta, kahan jaun mai ab rokar k, mujhe to ishq ne maara hai, bewafa yaar nahi mera, fir bhi wafa-e-mahboob ne maara, sabhi mere ghav khul gaye fir, unhe ...

Cigarette

Image
aao mai dikhaun ek ajeeb duniya, jisme do tarah k log rahte hai, ek dhuaan aur doosre raakh, dono ek hi duniya k hote hai, aur us duniya ko ham ciggerate kahte hai, chahe jitna b nuksaan kyu na kare hamara, fir bhi ham shauk se pite hai........ ek hi duniya k do wasinde hote hai, fir bhi kitna alag andaaj inka hota hai, ek dhuan, jo usi duniya se nikalta hai, aur hamesha upar badhta hai, aur raakh, jo chahe bhi agar upar chadhna, to ham use thokar maarkar, niche gira dete hai, chahe khud ko hi jala kyun na de, fir bhi ham shuaj se pite hai...... na jaane kyun ye milkar nahi rahte, ek aasmaan pasand karta hai, to doosra paiton me rahta hai, kabhi ashtray me, kabhi khali packet me, to kabhi ham khud hi ise farsh par bikher dete hai, chahe laakh maut hame de de, fir bhi ham shauk se pite hai.... kabhi to gaur karna jara, isk andaaj-e-mohabbat par, dono bahut chahte hai, fir bhi kabhi ek ho nahi paate, ek hawa me mil jata hai, to doosre ko ham mitti me milaka...