na bhara pet ab bhi tera, lakhon ko bhookha kark bhi, na manavta jaagi tujhme, bhookhon ko marta dekhkar bhi.... ab bhi roti hai bhookhi maan, mere desh k har kone me, mujhe do na do ek tukda bhi, par de do use, jo paalne me pada hua bhookh se bilakhta hai..... hai kitni bhookh tumhe, apna khaya mera khaya, iska khaya uska khaya, maang - maang kar sabka khaya, ab agar kiya hai jugad koi, to usme bhi tu chatni - roti khane aaya.... tere tan pe to hai kapde hajar, kuj rang birange, to kuj khadi k bane, hai mehnat meri lagi hui, par mujhe mila na mera adhikar..... tu aaj bhi khaddar pahanta hai, mai cheethdon se kaam chalata hu, tu rajsi thaath se jita hai, mai bhookha nanga sota hu...... mehnat hai sari meri, ghar fir bhi khali rahta hai, tu 5 saalon me ek bar mangta hai, aur mai poori jindagi deta rahta hu, teri hai mujhse bhookh badi, mai fir bhi bhookha marta hu.... tujhme mujhme koi hod nahi, tu raja hai par mai bhi rank nahi, mai praja hu teri hi, pa...