Jab jndagi kisi gair ki mohtaj ho jati hai

apno se jada gairon ki yaad aati hai,
jab jindagi kisi gair ki mohtaaj ho jaati hai,
dil ka haal samajhne vala koi nahi hota,
aur jindagi hai k bas ek chidiya ki tarah ud jati hai,
dll me yaad basi rah jaati hai,
mashaal jalti hui achanak bujh jati hai,
aankhon k saamne base andhera hi andhera sikhta hai,
har roshni bhi feeki pad jati hai,
jab jindagi kisi gair ki mohtaaj ho jati hai....
wajah bewajah hi dard uthta rhta hai,
aankhon ka mom har waqt pighalta rahta hai,
aansoo b rasta aona badal lete hai,
dil me tadap k shiva aur kuj nahi bachta hai,
har khwahish dafan ho jati hai,
chahat bas khud ko khatam karne ki rah jati hai,
jab jindagi kisi gair ki mohtaaj ho jati hai.....
shahar logon se bhara hokar bhi veeran lagta hai,
din nikalte hi dhalne lag jata hai,
bewajah koi insaan shaitan lagne lagta hai,
khud ki ek saan bhi bejaan lagne lagti hai,
bejaan aawaj,
rookhe shabd,
pathrayi aankhen,
aur aansuon ki sookhi dhara shrajal ho uthti hai,
jab jindagi kisi gair ki mohtaaj ho jati hai.....
yun to har waqt khyal dil me rhta hai k vo mera hai,
tabhi koi khta hai k vo nahi bas bhram tera hai,
aur kitna pyar me barbaad ho jaun,
khatam ho jaun ya tujhme hi mar jaun,
aasan nahi koi jirah rah jati hai,
har gali kooche se bas unk nikalne ki aas rahti hai,
vo mere nahi har taraf bas ek hi aawaj goonjti hai,
din khatam raat shuru,
roshni gayi andhera shuru,
sath khatam tanhayi shuru,
bas yahi tadpan har ghadi rah jati hai,
vo meri nahi kisi aur ki ho jati hai,
jindagi kisi gair ki mohtaaj ho jati hai....

Comments

Popular posts from this blog

देवों के देव महादेव

आवारगी

मैं ही ओंकार हूँ......!!