Cigarette

aao mai dikhaun ek ajeeb duniya,
jisme do tarah k log rahte hai,
ek dhuaan aur doosre raakh,
dono ek hi duniya k hote hai,
aur us duniya ko ham cigarette kahte hai,
chahe jitna b nuksaan kyu na kare hamara,
fir bhi ham shauk se pite hai........

ek hi duniya k do wasinde hote hai,
fir bhi kitna alag andaaj inka hota hai,
ek dhuan,
jo usi duniya se nikalta hai,
aur hamesha upar badhta hai,
aur raakh,
jo chahe bhi agar upar chadhna,
to ham use thokar maarkar,
niche gira dete hai,
chahe khud ko hi jala kyun na de,
fir bhi ham shuaj se pite hai......

na jaane kyun ye milkar nahi rahte,
ek aasmaan pasand karta hai,
to doosra paiton me rahta hai,
kabhi ashtray me,
kabhi khali packet me,
to kabhi ham khud hi ise farsh par bikher dete hai,
chahe laakh maut hame de de,
fir bhi ham shauk se pite hai....

kabhi to gaur karna jara,
isk andaaj-e-mohabbat par,
dono bahut chahte hai,
fir bhi kabhi ek ho nahi paate,
ek hawa me mil jata hai,
to doosre ko ham mitti me milakar mitti bana dete hai,
kitna bhi dard de seene me ye duniya,
fir bhi ham shauk se jite hai,
chahe jindagi bha ka rog hi kyu na de de,
fir bhi ham shauk se pite hai.....

Comments

Popular posts from this blog

देवों के देव महादेव

आवारगी

मैं ही ओंकार हूँ......!!