Akhiri nishani

kuch chote chote pathar k tukde,
jo tumne maare the kisi ko fek kar,
vo tukde vahi par pade rahe,
tum fir vahan se chali gayi,
aur tumhare jaate hi maine unko tha utha liya.....
ek panna na jane kis copy ka,
baarish vala din tha vo,
tum kitni khush lag rahi thi tab,
jab feka tha tumne faadkar,
baarish ki kitni boonden ab tak gir chuki thi usk upar,
aur tumhare jaate hi maine usko tha utha liya....
kuj wrapper tumhari toffee k,
kuj joothe glass tumhari chay ya coffee k,
tumne chua tha unko honthon se,
pakda tha apne hanthon se,
mai tumko dekhta rahta tha,
Niche fek kar tum chali gayi,
aur tumhare jaate hi maine unko tha utha liya....
kisi khushnaseeb payal ka vo ghunghru tha,
jo tumhare paon me hardam rahti thi,
jab tum itrakar chalti thi,
vo meethi meethi aawajen karta tha,
ek din na jane kya hua,
vo tumhari paayal se toot gaya,
shayad meri kismat achi thi,
k vo mere haanth me lag gaya,
maine tumko dekha chorin ki tarah,
aur tumko khabar nahi thi koi,
mujhko mauka mil gay,
aur tumhare jaate hi maine usko tha utha liya.....
yaad karo vo paagal pan,
jab tum thand me  bhi icecream khati thi,
apni jubaan se choo chookar,
tum uska dil bahlati thi,
mai sara jahan bhool kar bas tumko dekhta rahta tha,
na jaane achanak kya hua,
ek tukda muh se gir gaya,
us cone ki kismat gandi thi,
aur mera naseeb khul gaya,
aur tumhare jate hi maine usko tha utha liya....
yaad karo vo garmi ka mausam,
tum dhoop me chalkar aayi thi,
khol k apne balon ko,
tumne unko suljhaya tha,
do baal tootkar gir gaye,
shayad vo bahut roye honge,
tumne na koi parwaah ki,
kaale rubber se bandh kar tum fir se aage badh gayi,
maine fir se chori ki,
dekh tum ab chali gayi,
aur tumhare jate hi maine unko tha utha liya.....
ab shayad tum na meri ho,
meri har khwahish adhoori ho,
tum to mujhko nahi mili,
khuda kare teri har khwahish poori ho,
tum to door chali gayi,
par ye chijen abhi bhi meri hai,
jab yaad tumhari aati hai,
to inko pakad k rota hu,
bas yahi nishani hai ab paas mere,
tum mujhse bahut ab door gayi,
bas yahi nishani ab teri hai,
bas yahi nishani ab teri hai....
i love u p...





Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

देवों के देव महादेव

आवारगी

मैं ही ओंकार हूँ......!!