Bade kaam ki hai ye sharaab

maine suna tha,
k bade kaam ki hoti hai ye sharaab,
bhool jaoge,
kuj yaad na kar paoge,
dard mit jayega,
tum fir se khush ho jaoge,
itne rogon me kaaam aati hai ye sharaab,
k bade kaam ki hai ye sharaab....

mera bhi dil machla,
maine bhi kholi bottle,
maine bhi man me than liya,
k ab to pi jaunga sari ye sharaab,
suna tha maine,
k bade kaam ki hai ye sharaab....

k peg do peg me to asar hua na kuch,
to bottle lagayi muh me,
aur ghat ghat kark pi gaya mai sharaab,
suna tha maine,
k bade kaam ki hai ye sharaab....

jakar mere andar,
kuch aisa asar dikhaya isne,
k mai to hosh kho baitha,
bhool gaya duniya,
aur bas baki rah gayi teri yaad,
suna tha maine,
k  bade kaam ki hai ye sharaab....

k maine har gam ko bhulaya,
jab iska nasha rang laaya,
rang to mai sare bhool gaya,
bas har rang me tu hi tu najar aaya,
tu ab tak to door tha,
lekin ab aa gaya tha mere paas,
suna tha maine,
k bade kaam ki hai ye sharaab....

k ab na khone ka dar tha tujhko,
na door jane ka rah gaya koi ehsaas,
k tu mere paas thi,
meri saanson me thi,
mere aansuon me thi,
us bottle me thi,
aur thi tu hi usk laal paani me,
suna tha maine,
k bade kaam ki hai ye sharaab....

k ab to aankhen kholne ki jaroorat bhi nahi,
kyunki band aankhon me bhi tu thi,
sone ki jaroorat hi nahi,
kyunki jagte hue bhi mere sapno me tu thi,
k ab jaun kyu mai kahin bhi,
jabki mere aas paas har jagah bas tu hi tu thi,
k hosh ud gaye mere,
jab dekha tujhe maine k tu mere sine se lipti hui thi,
suna tha maine,
k bade kaam ki hai ye sharaaab....

bas akhiri tamnna,
ab meri yahi thi,
k nasha na toote,
tera sath na choote,
kuj to asar kar gayi sharaab,
sach hi suna tha maine ,
k bade kaam ki hai ye sharaab,
haan g bade kaam ki hai ye sharaab.

Comments

Popular posts from this blog

देवों के देव महादेव

आवारगी

मैं ही ओंकार हूँ......!!