Bas kar khuda
bas kar khuda,
ab aur na de,
pahle hi itna kuch hai mil gaya,
maine to maangi thi bas thodi si khushiyan,
teri raham ne ye kya kiya,
kaanton se daman mera bhar diya,
maine to maangi thi khushiyan.....
bas kar khuda,
ab jikra na kar,
pahle hi badhir mai ho gaya,
ilm nahi bhashaon ka mujhme hai baki rah gaya,
maine to maange the kuj shakhs,
jo mere apne bane,
gair banakar unko tune,
ghamon se roobaru hai mujhko kara diya,
anjaano ki toli se kutiya ko meri bhar diya,
maine ti maangi thi khushiyaan............
bas kar khuda,
ab aur is sabra ka imtihaan mat le,
na baki kuch rah gaya,
is khaksaar ki jholi me,
fakat ab khak baki rah gaya,
maine to maangi thi khushiyan......
bas kar khuda,
ab aur mat de,
na koi hanth khali rah gaya,
k maine to mangi thi ek jindagi,
jisme pyar ho kabhi takrar ho to kabhi jeet aur kabhi apno se hi haar ho,
tere raham ne khuda,
apno ka to nam-o-nishaan bhi na rakha,
baaki sari duniye se mai haar gaya,
maine to maangi thi khushiyan,
kaise kaise kanton se daaman mera bhar diya....
Comments
Post a Comment